Taban Abdul Hai

tumhaare hijr mein rahta hai hum ko gham miyan-sahib

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
tumhāre hijr meñ rahtā hai ham ko ġham miyāñ-sāhib
ḳhudā jaane jiyeñge yā mareñge ham miyāñ-sāhib
agar bosa na denā thā kahā hotā nahīñ detā
tum itnī baat se hote ho kyā barham miyāñ-sāhib
ḳhatā kuchh ham ne kī yā ġhair hai shāyad tumheñ maan.e
sabab kyā hai ki tum aate ho ab kuchh kam miyāñ-sāhib
agar tū shohra-e-āfāq hai to tere bandoñ meñ
hameñ bhī jāntā hai ḳhuub ik aalam miyāñ-sāhib
tumhāre ishq se 'tābāñ' huā hai shahar meñ rusvā
tum us ke haal se ab tak nahīñ mahram miyāñ-sāhib
Top Urdushayar.com