shab ko phire vo rashk-e-māh ḳhāna-ba-ḳhāna kū-ba-kū
din ko phirūñ maiñ dād-ḳhvāh ḳhāna-ba-ḳhāna kū-ba-kū
qibla na sar-kashī karo husn pe apne is qadar
tum se bahut haiñ kaj-kulāh ḳhāna-ba-ḳhāna kū-ba-kū
ḳhāna-ḳharāb-e-ishq ne kho ke mirī hayā-o-sharm
mujh ko kiyā zalīl aah ḳhāna-ba-ḳhāna kū-ba-kū
tū ne jo kuchh ki kī jafā tā-dam-e-qatl maiñ sahī
merī vafā ke haiñ gavāh ḳhāna-ba-ḳhāna kū-ba-kū
terī kamand-e-zulf ke mulk-ba-mulk haiñ asiir
bismil-e-ḳhanjar-nigāh ḳhāna-ba-ḳhāna kū-ba-kū
kal tū ne kis kā ḳhuuñ kiyā mujh ko batā ki aaj hai
shor o fuġhāñ o aah aah ḳhāna-ba-ḳhāna kū-ba-kū
mujh ko bulā ke qatl kar yā to mire gunāh baḳhsh
huuñ maiñ kahāñ talak tabāh ḳhāna-ba-ḳhāna kū-ba-kū
sīna-figār o jāma-chāk girya-kunāñ o na.ara-zan
phirte haiñ tere dād-ḳhvāh ḳhāna-ba-ḳhāna kū-ba-kū
'tābāñ' tire firāq meñ sar ko paTaktā raat din
phirtā hai misl-e-mahr-o-māh ḳhāna-ba-ḳhāna kū-ba-kū