Taban Abdul Hai

KHuban jo pahante hain nipaT tang choliyan

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
ḳhūbāñ jo pahante haiñ nipaT tañg choliyāñ
un kī sajoñ ko dekh mareñ kyuuñ na loliyāñ
hoñToñ meñ jam rahī hai tire aaj kyuuñ dharī
bhejī thiiñ kis ne raat ko pānoñ kī Dholiyāñ
jis din se añkhḌiyāñ tirī us ko nazar paḌīñ
bādām ne ḳhajil ho phir āñkheñ na kholiyāñ
taare nahīñ falak pe tumhāre nisār ko
laayā hai motiyoñ se ye bhar bhar ke jholiyāñ
sumbul ko pech-o-tāb ajab tarah kī huī
zulfeñ jab un ne jā ke gulistāñ meñ kholiyāñ
gulshan meñ bahsne ko tumhāre dahan ke saath
kholā thā muñh ko kaliyoñ ne par kuchh na boliyāñ
tābāñ qafas meñ aaj haiñ ve bulbuleñ ḳhamosh
kartī thiiñ kal jo baaġh meñ gul se kiloliyāñ
Top Urdushayar.com