Taban Abdul Hai

ek hi jam ko pila saqi

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
ek hī jaam ko pilā saaqī
adl aur hosh le gayā saaqī
abr hai mujh ko mai pilā saaqī
is havā meñ na jī kuḌhā saaqī
lab-e-dariyā pe chāñdnī dekhūñ
ho agar mujh se āshnā saaqī
sub.h aayā sharāb meñ maḳhmūr
niiñd se uTh ke musmusā saaqī
sab ke ta.iiñ tū ne mai pilā.ī hai
maiñ tarastā hī rah gayā saaqī
qahr hai mai agar na de is vaqt
jhuum aa.ī hai kyā ghaTā saaqī
kyā maze se karūñ chaman kī sair
garche ho abr aur mirā saaqī
dard-e-sar hai ḳhumār se mujh ko
jald le kar sharāb aa saaqī
gar tū 'tābāñ' ko mai pilāvegā
tirā ehsāñ na hogā kyā saaqī
Top Urdushayar.com