Saqib Lakhnavi

main nahin kahta ki duniya ko badal kar rah chal

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
maiñ nahīñ kahtā ki duniyā ko badal kar raah chal
ḳhaar haiñ pairāhan-e-gul meñ sambhal kar raah chal
duur hai mulk-e-adam aur tujh meñ dam baaqī nahīñ
ho sake to bas yūñhī karvaT badal kar raah chal
tālib-e-manzil hai phir uzlat-nashīnī kis liye
rah-ravoñ ko dekh le ghar se nikal kar raah chal
kū-e-jānāñ meñ zamāna ho gayā rote hue
tā-kujā dil kā ta.assuf haath mal kar raah chal
yuuñ rasā.ī tā-sahar mumkin nahīñ ai dil magar
sham.a kī sūrat shab-e-ġham meñ pighal kar raah chal
Top Urdushayar.com