kisī gul meñ nahīñ paane kī tū bū-e-vafā hargiz
abas apnā dil ai bulbul chaman meñ mat lagā hargiz
tabīboñ se ilāj-e-ishq hotā hai nipaT mushkil
hamāre dard kī un se nahīñ hone kī davā hargiz
tajā ghar ek aur saare bayābāñ kā huā vāris
koī majnūñ sā ayyārā na hogā dūsrā hargiz
bahār aa.ī hai kyūñkar andalībeñ baaġh meñ jāveñ
qafas ke dar ke ta.iiñ kartā nahīñ sayyād vā hargiz
na the āshiq kisī be-dād par ham jab talak 'tābāñ'
hamāre dil ke ta.iiñ kuchh dard-o-ġham tab tak na thā hargiz