Taban Abdul Hai

dilbar se dard-e-dil na kahun hae kab talak

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
dilbar se dard-e-dil na kahūñ haa.e kab talak
ḳhāmosh us ke ġham meñ rahūñ haa.e kab talak
us shoḳh se judā maiñ rahūñ haa.e kab talak
ye zulm ye sitam maiñ sahūñ haa.e kab talak
rahtā hai roz hijr meñ zālim ke ġham mujhe
is dukh se dekhiye ki chhuTūñ haa.e kab talak
aa.ī bahār jā.iye sahrā meñ shahr chhoḌ
muj ko junūñ hai ghar meñ rahūñ haa.e kab talak
zālim ko Tuk bhī rahm mire haal par nahīñ
'tābāñ' maiñ us ke jaur sahūñ haa.e kab talak
Top Urdushayar.com