Taban Abdul Hai

tum se ab kaamyab aur hi hai

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
tum se ab kāmyāb aur hī hai
aah ham par azaab aur hī hai
us ko ā.īna kab pahuñchtā hai
husn kī āb-o-tāb aur hī hai
riñd vaa.iz se kyuuñ ki sarbar ho
us kī chhū, kī kitāb aur hī hai
hijr bhī kam nahīñ hai dozaḳh se
is safar kā azaab aur hī hai
us ko lagtī hai kab koī talvār
teġh-e-abrū kī aab aur hī hai
yuuñ to hai surḳh yaar kā chehrā
par piye jab sharāb aur hī hai
mujh ko is niiñd se nahīñ ārām
mujh ko rāhat kā ḳhvāb aur hī hai
bahs-e-ilmī se kab haiñ ye qaa.il
jāhiloñ kā javāb aur hī hai
yaad meñ terī zulf-o-kākul kī
dil ke ta.iiñ pech-o-tāb aur hī hai
us sitamgar kā mujh pe har saa.at
jaur-o-zulm-o-azāb aur hī hai
kis tarah se guhar kahūñ 'tābāñ'
us ke dandāñ meñ aab aur hī hai
Top Urdushayar.com