Taban Abdul Hai

teri aankhen baDi si pyari hain

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
terī āñkheñ baḌī sī pyārī haiñ
un ke phir dekhne kī vaarī haiñ
gāliyāñ tiiñ jo de gayā thā mujhe
mujh ko ab tak vo yādgārī haiñ
ātish-e-ishq meñ jo jal na mareñ
ishq ke fan meñ vo anārī haiñ
raat jaagā hai pī sharāb kahīñ
terī āñkheñ nipaT ḳhumārī haiñ
tum se kahtā hai jaan sach 'tābāñ'
jhūTī bāteñ sabhī tumhārī haiñ
Top Urdushayar.com