Taban Abdul Hai

ghair ke hath mein us shoKH ka daman hai aaj

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
ġhair ke haath meñ us shoḳh kā dāmān hai aaj
maiñ huuñ aur haath mirā aur ye garebān hai aaj
laTpaTī chaal khule baal ḳhumārī añkhiyāñ
maiñ tasadduq huuñ mirī jaan ye kyā aan hai aaj
kab talak rahiye tire hijr meñ pāband-e-libās
kījiye tark-e-ta.alluq hī ye armān hai aaj
aa.ine ko tirī sūrat se na ho kyuuñ kar hairat
dar o dīvār tujhe dekh ke hairān hai aaj
āshiyāñ baaġh meñ ābād thā kal bulbul kā
haa.e 'tābāñ' ye sabab kyā hai ki vīrān hai aaj
Top Urdushayar.com