Taban Abdul Hai

main ho ke tere gham se nashad bahut roya

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
maiñ ho ke tire ġham se nāshād bahut royā
rātoñ ke ta.iiñ kar ke fariyād bahut royā
hasrat meñ diyā jī ko mehnat kī na hui rāhat
maiñ haal tirā sun kar farhād bahut royā
gulshan se vo juuñ laayā bulbul ne diyā jī ko
qismat ke upar apnī sayyād bahut royā
nashtar to lagātā thā par ḳhuuñ na nikaltā thā
kar fasd mirī āḳhir fassād bahut royā
kar qatl mujhe un ne aalam meñ bahut DhūñDā
jab mujh sā na kui paayā jallād bahut royā
jab yaar mirā bigḌā ḳhat aa.e se ai 'tābāñ'
tab husn ko maiñ us ke kar yaad bahut royā
Top Urdushayar.com