ḳhūb-rū jo ek kā mahbūb nahīñ
aise harjā.ī se milnā ḳhuub nahīñ
cholī nīchī mat pahan ai jāma-zeb
is meñ chhab taḳhtī kā kuchh uslūb nahīñ
maiñ to tālib dil se hūñgā diin kā
daulat-e-duniyā mujhe matlūb nahīñ
sabr kab tak hijr meñ tere karūñ
maiñ tirā āshiq huuñ kui ayyūb nahīñ
yaar kī 'tābāñ' zanaḳhdāñ ko na chaah
dekh kahtā huuñ kueñ meñ Duub nahīñ