aarzū hai maiñ rakhūñ tere qadam par gar jabīñ
tū uThāve naaz se zālim lagā Thokar jabīñ
apne ghar meñ to bahut paTkā pa kuchh hāsil nahīñ
ab ke jī meñ hai tirī chaukhaT pe ro.uuñ dhar jabīñ
jaisī peshānī tirī hai ai mire ḳhurshīd-rū
chāñd kī hai raushnī meñ us se kab behtar jabīñ
shaiḳh aa jalva ḳhudā kā mai-kade meñ hai mire
kyuuñ ragaḌtā hai abas ka.abe ke tū dar par jabīñ
kyā karūñ tere qadam tak to nahīñ hai dastaras
naqsh-e-pā hī par tire maltā huuñ maiñ akasr jabīñ
shaiḳh gar shaitān se sūrat nahīñ miltī tirī
bas batā dāġhī huī hai kis tarah yaksar jabīñ
hai kisī kī bhī tirī se auñdhī peshānī bhalā
dekh tū ai shoḳh apnī aa.ina le kar jabīñ
aa ke jin hāthoñ se maltā thā tire talvoñ ke ta.iiñ
pīTtā huuñ ab unhīñ hāthoñ se maiñ akasr jabīñ
buujh kar naqsh-e-qadam ko tere mehrāb-e-duā
māñgtā huuñ maiñ murād-e-dil ko rakh is par jabīñ
chāñd kā mukhḌā hai yā ā.īna yā mus.haf kā lauh
yā tirī hai ai mire rashk-e-mah-o-aḳhtar jabīñ
saaf dil 'tābāñ' mukaddar hī kabhū hotā nahīñ
ā.īna kī haigī raushan dekh le yaksar jabīñ