ba-zom-e-aql ye kaisā gunāh maiñ ne kiyā
ik ā.īnā thā usī ko siyāh maiñ ne kiyā
ye shahr-e-kam-nazarāñ ye dayār-e-be-hunarāñ
kise ye apne hunar kā gavāh maiñ ne kiyā
harīm-e-dil ko jalāne lagā thā ek ḳhayāl
so gul use bhī ba-yak sard aah maiñ ne kiyā
vahī yaqīn rahā hai javāz-e-ham-safarī
jo gaah us ne kiyā aur gaah maiñ ne kiyā
bas ek dil hī to hai vāqif-e-rumūz-e-hayāt
so shahr-e-jāñ kā use sarbarāh maiñ ne kiyā
har ek ranj usī baab meñ kiyā hai raqam
zarā sā ġham thā jise be-panāh maiñ ne kiyā
ye rāh-e-ishq bahut sahl ho ga.ī jab se
hisār-e-zāt ko paivand-e-rāh maiñ ne kiyā
ye umr kī hai basar kuchh ajab tavāzun se
tirā huā na hī ḳhud se nibāh maiñ ne kiyā
ḳhirad ne dil se kahā tū junūñ-sifat hī sahī
na pūchh us kī ki jis ko tabāh maiñ ne kiyā