Irfan Sattar

raftagan ki sada nahin main hun

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
raftagāñ kī sadā nahīñ maiñ huuñ
ye tirā vāhima nahīñ maiñ huuñ
tere maazī ke saath dafn kahīñ
merā ik vāqi.a nahīñ maiñ huuñ
kyā milā intihā-pasandī se
kyā maiñ tere sivā nahīñ maiñ huuñ
ek muddat meñ jā ke mujh pe khulā
chāñd hasrat-zada nahīñ maiñ huuñ
us ne mujh ko muhāl jaan liyā
maiñ ye kahtā rahā nahīñ maiñ huuñ
maiñ hī ujlat meñ aa gayā thā idhar
ye zamāna nayā nahīñ maiñ huuñ
merī vahshat se Dar ga.e shāyad
yaar bād-e-fanā nahīñ maiñ huuñ
maiñ tire saath rah gayā huuñ kahīñ
vaqt Thahrā huā nahīñ maiñ huuñ
gaahe gaahe suḳhan zarūrī hai
sāmne ā.īna nahīñ maiñ huuñ
sarsarī kyuuñ guzartā hai mujhe
ye mirā mājrā nahīñ maiñ huuñ
us ne pūchhā kahāñ gayā vo shaḳhs
kyā batātā ki thā nahīñ maiñ huuñ
ye kise dekhtā hai mujh se udhar
tere aage ḳhalā nahīñ maiñ huuñ
Top Urdushayar.com