rizq kī justujū meñ kise thī ḳhabar tū bhī ho jā.egā rā.egāñ yā aḳhī
terī āsūda-hālī kī ummīd par kar ga.e ham to apnā ziyāñ yā aḳhī
jab na thā ye bayābān-e-dīvār-o-dar jab na thī ye siyāhī bharī rahguzar
kaise karte the ham guftugū raat bhar kaise suntā thā ye āsmāñ yā aḳhī
jab ye ḳhvāhish kā amboh-e-vahshat na thā shahr itnā tahī-dast-e-fursat na thā
kitne ābād rahte the ahl-e-hunar har nazar thī yahāñ mehrbāñ yā aḳhī
ye giroh-e-asīrān-e-kizb-o-riyā bandagān-e-diram bandagān-e-anā
ham faqat ahl-e-dil ye faqat ahl-e-zar umr kaise kaTegī yahāñ yā aḳhī
ḳhud-kalāmī kā ye silsila ḳhatm kar gosh-o-āvāz kā fāsla ḳhatm kar
ik ḳhamoshī hai phailī huī sar-basar kuchh suḳhan chāhiye darmiyāñ yā aḳhī
jism kī ḳhvāhish se nikal kar chaleñ zāviya justujū kā badal kar chaleñ
DhūñDne āgahī kī koī rahguzar ruuh ke vāste sā.ebāñ yā aḳhī
haañ kahā thā ye ham ne bichhaḌte hue lauT ā.eñge ham umr Dhalte hue
ham ne sochā bhī thā vāpsī kā magar phir ye sochā ki tū ab kahāñ yā aḳhī
ḳhud-shanāsī ke lamhe baham kab hue ham jo the dar-haqīqat vo ham kab hue
terā ehsān ho tū batā de agar kuchh hameñ bhī hamārā nishāñ yā aḳhī
qissa-e-ranj-o-hasrat nahīñ muḳhtasar tujh ko kyā kyā batā.egī ye chashm-e-tar
ātish-e-ġham meñ jalte haiñ qalb-o-jigar aañkh tak aa rahā hai dhuāñ yā aḳhī
tū hameñ dekh aa kar sar-e-anjuman yuuñ samajh le ki haiñ jān-e-bazm-e-shuḳhan
ik to rūdād dilchasp hai is qadar aur us par hamārā bayāñ yā aḳhī
umr ke baab meñ ab ri.āyat kahāñ samt tabdīl karne kī mohlat kahāñ
dekh bād-e-fanā khaTkhaTātī hai dar ḳhatm hone ko hai dāstāñ yā aḳhī
ho chukā sab jo honā thā sūd-o-ziyāñ ab jo socheñ to kyā rah gayā hai yahāñ
aur kuchh fāsle kā ye raḳht-e-safar aur kuchh roz kā naqd-e-jāñ yā aḳhī