Irfan Sattar

murattab aur bhi ek goshwara ho raha hai

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968

murattab aur bhī ik goshvāra ho rahā hai

to kyā hai gar abhī ham ko ḳhasāra ho rahā hai

hamāre paas to ham se ziyāda nahīñ thā

so kyā ab to ḳhud se bhī kināra ho rahā hai

hamāre ḳhvāb meñ ahmiyat-e-shab thī ziyāda

so ab vo ḳhvāb āñkhoñ meñ sitāra ho rahā hai

tumhārī aarzū hone se pahle bhī to ham the

guzāra ho rahā thā so guzāra ho rahā hai

hayā-ālūd āñkheñ haiñ na āñchal hai na chilman

ye kis vīrān duniyā nazāra ho rahā hai

abhī ham faisla karne ujlat meñ nahīñ haiñ

magar lagtā hai jiine se ḳhasāra ho rahā hai

ḳhalā se is zamīñ par sañg-rezo ye bārish

kisī jānib se kyā koī ishāra ho rahā hai

Top Urdushayar.com