Irfan Sattar

zinda hun aur hijr ka aazar tak nahin

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
zinda huuñ aur hijr kā āzār tak nahīñ
vo kaam kar rahā huuñ jo dushvār tak nahīñ
ab maiñ huuñ aur tujh ko manāne kī justujū
kuchh bhī nahīñ hai raah meñ pindār tak nahīñ
ya.anī mirā vajūd hī mashkūk ho gayā
ab to maiñ apne-āp se bezār tak nahīñ
dil bhī thakan se chuur huā aur dimāġh bhī
aur āsmāñ pe sub.h ke āsār tak nahīñ
iqrār kar ke us ko nibhānā kise nasīb
is umr meñ to mohlat-e-inkār tak nahīñ
thī jis kī por por mirī lams-āshnā
ab yaad us ke gesū-o-ruḳhsār tak nahīñ
is be-karāñ ḳhalā meñ nigāhoñ ko kyā karūñ
ab to nazar ke sāmne dīvār tak nahīñ
Top Urdushayar.com