har ek shakl meñ sūrat na.ī malāl kī hai
hamāre chāroñ taraf raushnī malāl kī hai
ham apne hijr meñ terā visāl dekhte haiñ
yahī ḳhushī kī hai sā.at, yahī malāl kī hai
hamāre ḳhāna-e-dil meñ nahīñ hai kyā kyā kuchh
ye aur baat ki har shai isī malāl kī hai
abhī se shauq kī āzurdagī kā rañj na kar
ki dil ko taab ḳhushī kī na thī malāl kī hai
kisī kā rañj ho, apnā samajhne lagte haiñ
vabāl-e-jāñ ye kushāda-dilī malāl kī hai
nahīñ hai ḳhvāhish-e-āsūdgī-e-vasl hameñ
javāz-e-ishq to bas tishnagī malāl kī hai
guzishta raat ka.ī baar dil ne ham se kahā
ki ho na ho ye ghuTan āḳhirī malāl kī hai
ragoñ meñ chīḳhtā phirtā hai ek sail-e-junūñ
agarche lahje meñ shā.istagī malāl kī hai
ajiib hotā hai ehsās kā talavvun bhī
abhī ḳhushī kī ḳhushī thii, abhī malāl kī hai
ye kis umiid pe chalne lagī hai bād-e-murād?
ḳhabar nahīñ hai use, ye ghaḌī malāl kī hai
duā karo ki rahe darmiyāñ ye be-suḳhanī
ki guftugū meñ to be-pardagī malāl kī hai
tirī ġhazal meñ ajab kaif hai magar 'irfān'
darūn-e-ramz-o-kināya kamī malāl kī hai