Irfan Sattar

KHana-e-dil ki tarah sari faza hai ki nahin

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
ḳhāna-e-dil kī tarah saarī fazā hai ki nahīñ
kis ko ma.alūm ki bāhar bhī havā hai ki nahīñ
jashn barpā to huā thā dam-e-ruḳhsat lekin
vahī hañgāma mire ba.ad bapā hai ki nahīñ
pūchhtā hai ye har ik ḳhār-e-sar-e-dasht-e-junūñ
aane vaalā bhī koī ābla-pā hai ki nahīñ
dekh to jā ke masīhā-e-ġham-e-ishq use
haath ab tak yūñhī siine pe dharā hai ki nahīñ
dil ke tārīk dar-o-bām se aksar tirā ġham
pūchhtā hai ki koī mere sivā hai ki nahīñ
maiñ kahīñ huuñ ki nahīñ huuñ vo kabhī thā ki na thā
tū hī kah de ye suḳhan be-sar-o-pā hai ki nahīñ
faisla lauT ke jaane kā hai kitnā mushkil
kis se pūchhūñ vo mujhe bhuul chukā hai ki nahīñ
maiñ to vāraftagī-e-shauq meñ jaatā huuñ udhar
nahīñ ma.alūm vo āġhosh bhī vā hai ki nahīñ
jaane kyā rañg chaman kā hai dam-e-sub.h-e-firāq
gul khile haiñ ki nahīñ bād-e-sabā hai ki nahīñ
ai shab-e-hijr zarā der ko bahle to ye dil
dekh 'irfān' kahīñ naġhma-sarā hai ki nahīñ
Top Urdushayar.com