Irfan Sattar

ya mulaqat ke imkan se bahar ho ja

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
yā mulāqāt ke imkān se bāhar ho jā
yā kisī din mirī fursat ko mayassar ho jā
tujh ko ma.alūm nahīñ hai mirī ḳhvāhish kyā hai
mujh pe ehsān na kar aur subuk-sar ho jā
irtiqā kyā tirī qismat meñ nahīñ likkhā hai
ab tamannā se guzar merā muqaddar ho jā
maiñ jahāñ paañv rakhūñ vaañ se bagūlā uTThe
reg-e-sahrā mirī vahshat ke barābar ho jā
ai mire harf-e-suḳhan tū mujhe hairāñ kar de
to kisī din mirī ummīd se baḌh kar ho jā
Top Urdushayar.com