Irfan Sattar

hamein nahin aate ye kartab nae zamane wale

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
hameñ nahīñ aate ye kartab na.e zamāne vaale
ham to sīdhe log haiñ yaaro vahī purāne vaale
un ke hote koī kamī hai rātoñ kī raunaq meñ
yādeñ ḳhvāb dikhāne vaalī ḳhvāb suhāne vaale
kahāñ ga.iiñ rañgīn patañgeñ laTTū kāñch ke bañTe
ab to khel bhī bachchoñ ke haiñ dil dahlāne vaale
vo āñchal se ḳhushbū kī lapTeñ bikhrāte paikar
vo chilman kī oT se chehre chhab dikhlāne vaale
baam pe jaane vaale jāneñ us mahfil kī bāteñ
ham to Thahre us kūche meñ ḳhaak uḌāne vaale
jab guzroge un rastoñ se taptī dhuup meñ tanhā
tumheñ bahut yaad ā.eñge ham saa.e bichhāne vaale
tum tak shāyad der se pahuñche mirā mohazzab lahja
pahle zarā ḳhāmosh to hoñ ye shor machāne vaale
ham jo kaheñ so kahne denā sanjīda mat honā
ham to haiñ hī shā.er baat se baat banāne vaale
achchhā pahlī baar kisī ko merī fikr huī hai
maiñ ne bahut dekhe haiñ tum jaise samjhāne vaale
aise labālab kab bhartā hai har ummīd kā kaasa
mujh ko hasrat se takte haiñ aane jaane vaale
saffākī meñ ek se haiñ sab jin ke saath bhī jaao
ka.abe vaale is jānib haiñ vo but-ḳhāne vaale
mere shahar meñ maañg ab to bas un logoñ kī hai
kafan banāne vaale yā murde nahlāne vaale
giit rasīle bol sajīle kahāñ sunoge ab tum
ab to kahtā hai 'irfān' bhī sher rulāne vaale
Top Urdushayar.com