Irfan Sattar

tere jamal se hum runuma nahin hue hain

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968

tire jamāl se ham rūnumā nahīñ hue haiñ

chamak rahe haiñ magar aa.ina nahīñ hue haiñ

dhaḌak rahā hai ik ism hai ye barakat

vagarna vāqiye is dil meñ kyā nahīñ hue haiñ

batā na paa.eñ to ḳhud tum samajh jaao ki ham

bilā javāz to be-mājrā nahīñ hue haiñ

tirā kamāl ki āñkhoñ meñ kuchh zabān pe kuchh

hameñ to mo.ajize aise atā nahīñ hue haiñ

ye mat samajh ki koī tujh se munharif nahīñ

abhī ham ahl-e-junūñ lab-kushā nahīñ hue haiñ

ba-nām-e-zauq-e-suḳhan ḳhud-numā.ī aap kareñ

ham is maraz meñ abhī mubtalā nahīñ hue haiñ

hamī vo jin safar māvarā-e-vaqt-o-vajūd

hamī vo ḳhud se kabhī jo rihā nahīñ hue haiñ

ḳhud-āgahī bhī khaḌī māñgtī hai apnā hisāb

junūñ ke qarz bhī ab tak adā nahīñ hue haiñ

kisī ne dil jo dukhāyā kabhī to ham 'irfān'

udaas ho ga.e lekin ḳhafā nahīñ hue haiñ

Top Urdushayar.com