yahāñ jo hai kahāñ us kā nishāñ baaqī rahegā
magar jo kuchh nahīñ vo sab yahāñ baaqī rahegā
safar hogā safar kī manzileñ mādūm hoñgī
makāñ baaqī na hogā lā-makāñ baaqī rahegā
kabhī qarya-ba-qarya aur kabhī ālam-ba-ālam
ġhubār-e-hijrat-e-be-ḳhānamāñ baaqī rahegā
hamāre saath jab tak dard kī dhaḌkan rahegī
tire pahlū meñ hone kā gumāñ baaqī rahegā
bahut be-e'tibārī se guzar kar dil mile haiñ
bahut din tak takalluf darmiyāñ baaqī rahegā
rahegā āsmāñ jab tak zamīñ baaqī rahegī
zamīñ qaa.im hai jab tak āsmāñ baaqī rahegā
ye duniyā hashr tak ābād rakkhī jā sakegī
yahāñ ham sā jo koī ḳhush-bayāñ baaqī rahegā
junūñ ko aisī umr-e-jāvedāñ baḳhshī ga.ī hai
qayāmat tak giroh-e-āshiqāñ baaqī rahegā
tamaddun ko bachā lene kī mohlat ab kahāñ hai
sar-e-girdāb kab tak bādbāñ baaqī rahegā
hamārā hausla qaa.im hai jab tak sā.ebāñ hai
ḳhudā jaane kahāñ tak sā.ebāñ baaqī rahegā
tujhe mālūm hai yā kuchh hameñ apnī ḳhabar hai
so ham mar jā.eñge tū hī yahāñ baaqī rahegā