is tarah dekhtā huuñ udhar vo jidhar na ho
jaise dikhā.ī de koī sūrat magar na ho
ye shahr-e-nā-shanās hai kyā is kā e'tibār
achchhā rahegā vo jo yahāñ mo'atabar na ho
is tarah chal rahā hai ra.ūnat ke saath vo
jaise ḳhirām-e-nāz se aage safar na ho
maiñ aaj huuñ so mujh ko samā.at bhī chāhiye
mumkin hai ye suḳhan kabhī bār-e-digar na ho
hone do aaj shāḳh-e-tamannā ko bārvar
mumkin hai kal nafas kā yahāñ se guzar na ho
maiñ bhī dikhā.ūñ shauq kī jaulāniyāñ tujhe
ye musht-e-ḳhāk raah meñ haa.il agar na ho
nām-o-numūd se mujhe aise gurez hai
jaise ye kār-e-ḳhair ho kār-e-hunar na ho
apnā pata bhī DhūñDne jaanā hai ek din
filhāl chāhtā huuñ ki tū dar-ba-dar na ho
ik ye fareb dekhnā baaqī hai vaqt kā
dil Duub jaa.e aur dobāra sahar na ho
ye kyā ki ham-rikāb rahe ḳhāk-e-rahguzar
kis kaam kā junūñ jo qadam dasht-bhar na ho