ġhamoñ meñ kuchh kamī yā kuchh izāfa kar rahe haiñ
samajh meñ kuchh nahīñ aatā ki ham kyā kar rahe haiñ
jo aatā hai nazar meñ us ko le aate haiñ dil meñ
na.ī tarkīb se ham ḳhud ko tanhā kar rahe haiñ
nazar karte haiñ yuuñ jaise bichhaḌne kī ghaḌī ho
suḳhan karte haiñ aise jaise girya kar rahe haiñ
tumhāre hī ta.alluq se to ham haiñ is badan meñ
tumhāre hī liye to ye tamāshā kar rahe haiñ
zavāl-e-āmādgī ab gūñjtī hai dhaḌkanoñ meñ
so dil se ḳhvāhishoñ kā bojh halkā kar rahe haiñ
suḳhan tum se ho yā ahbāb se yā apne dil se
yahī lagtā hai ham har baat bejā kar rahe haiñ
tumhārī aarzū hone se pahle bhī to ham the
so jaise ban paḌe ab bhī guzārā kar rahe haiñ
zarā pūchhe koī ma.adūm hote in dukhoñ se
hameñ kis ke bharose par akelā kar rahe haiñ
hameñ roke hue hai pās-e-nāmūs-e-mohabbat
ye mat samjho ki ham duniyā kī parvā kar rahe haiñ
ba-juz-sīna-ḳharāshī kuchh nahīñ aatā hai lekin
zarā dekho to ham ye kaam kaisā kar rahe haiñ
hameñ is kaam kī mushkil kā andāza hai sāhab
baḌe arse se ham bhī tark-e-duniyā kar rahe haiñ
jo hogī sub.h to taqsīm ho jā.eñge phir ham
Dhalī hai shaam to ḳhud ko ikaTThā kar rahe haiñ
junūñ se itnā derīna ta.alluq toḌ deñge?
are tauba kareñ 'irfān', ye kyā kar rahe haiñ