Irfan Sattar

sabhi ye puchhte rahte hain kya gum ho gaya hai

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
sabhī ye pūchhte rahte haiñ kyā gum ho gayā hai
batā duuñ? mujh se ḳhud apnā patā gum ho gayā hai
tumhāre din meñ ik rūdād thī jo kho ga.ī hai
hamārī raat meñ ik ḳhvāb thaa, gum ho gayā hai
vo jis ke pech-o-ḳham meñ dāstāñ lipTī huī thī
kahānī meñ kahīñ vo mājrā gum ho gayā hai
zarā ahl-e-junūñ aao hameñ rasta sujhāo
yahāñ ham aql vāloñ kā ḳhudā gum ho gayā hai
nazar baaqī hai lekin tāb-e-nazzāra nahīñ ab
suḳhan baaqī hai lekin mudda.ā gum ho gayā hai
mujhe dukh hai ki zaḳhm o rañj ke is jamghaTe meñ
tumhārā aur merā vāqi.a gum ho gayā hai
ye shiddat dard kī us ke na hone se na hotī
yaqīnan aur kuchh us ke sivā gum ho gayā hai
vo jis ko khīñchne se zaat kī parteñ khuleñgī
hamārī zindagī kā vo sirā gum ho gayā hai
vo dar vā ho na ho, āzād o ḳhud-bīñ ham kahāñ ke
palaT aa.eñ to samjho rāstā gum ho gayā hai
Top Urdushayar.com