aaj bām-e-harf par imkān bhar maiñ bhī to huuñ
merī jānib ik nazar ai dīda-var maiñ bhī to huuñ
be-amāñ saa.e kā bhī rakh bād-e-vahshat kuchh ḳhayāl
dekh kar chal darmiyān-e-bām-o-dar maiñ bhī to huuñ
raat ke pichhle pahar pur-shor sannāToñ ke beach
tū akelī to nahīñ ai chashm-e-tar maiñ bhī to huuñ
tū agar merī talab meñ phir rahā hai dar-ba-dar
apnī ḳhātir hī sahī par dar-ba-dar maiñ bhī to huuñ
terī is tasvīr meñ manzar mukammal kyuuñ nahīñ
maiñ kahāñ huuñ ye batā ai naqsh-gar maiñ bhī to huuñ
sun asīr-e-ḳhush-adā.ī muntashir tū hī nahīñ
maiñ jo ḳhush-atvār huuñ zer-o-zabar maiñ bhī to huuñ
ḳhud-pasandī merī fitrat kā bhī vasf-e-ḳhās hai
be-ḳhabar tū hī nahīñ hai be-ḳhabar maiñ bhī to huuñ
dekhtī hai juuñ hī paspā.ī pe āmāda mujhe
ruuh kahtī hai badan se be-hunar maiñ bhī to huuñ
dasht-e-hairat ke safar meñ kab tujhe tanhā kiyā
ai junūñ maiñ bhī to huuñ ai ham-safar maiñ bhī to huuñ
kūza-gar be-sūratī sairāb hone kī nahīñ
ab mujhe bhī shakl de is chaak par maiñ bhī to huuñ
yuuñ sadā detā hai akasr koī mujh meñ se mujhe
tujh ko ḳhush rakkhe ḳhudā yūñhī magar maiñ bhī to huuñ