Irfan Sattar

koi mila to kisi aur ki kami hui hai

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
koī milā to kisī aur kī kamī huī hai
so dil ne be-talabī iḳhtiyār kī huī hai
jahāñ se dil kī taraf zindagī utartī thī
nigāh ab bhī usī baam par jamī huī hai
hai intizār use bhī tumhārī ḳhush-bū kā
havā galī meñ bahut der se rukī huī hai
tum aa ga.e ho to ab ā.īna bhī dekheñge
abhī abhī to nigāhoñ meñ raushnī huī hai
hamārā ilm to marhūn-e-lauh-e-dil hai miyāñ
kitāb-e-aql to bas taaq par dharī huī hai
banāo saa.e harārat badan meñ jazb karo
ki dhuup sehan meñ kab se yūñhī paḌī huī hai
nahīñ nahīñ maiñ bahut ḳhush rahā huuñ tere baġhair
yaqīn kar ki ye hālat abhī abhī huī hai
vo guftugū jo mirī sirf apne-āp se thī
tirī nigāh ko pahuñchī to shā.irī huī hai
Top Urdushayar.com