Irfan Sattar

phir KHun mein wahshat raqsan hai tajdid sitam karne ke liye

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
phir ḳhuun meñ vahshat raqsāñ hai tajdīd sitam karne ke liye
ik taaza zaḳhm kī ḳhvāhish hai ik sadma kam karne ke liye
ham din-bhar duniyā-dārī meñ hañs hañs ke bāteñ karte haiñ
phir saarī raat pighalte haiñ ik ashk raqam karne ke liye
vo vasl ki jis ne ham donoñ ko yaksar be-buniyād kiyā
ab fursat hai aa mil baiTheñ us vasl kā ġham karne ke liye
ik kaarī zaḳhm kī chāhat ne kyā kyā na hameñ gulzār kiyā
ham kis kis se mansūb hue ik hijr baham karne ke liye
insān ke jiine marne ke majbūrī ke muḳhtārī ke
ye saare khel zarūrī haiñ ta.amīr adam karne ke liye
Top Urdushayar.com