jo be-ruḳhī kā rañg bahut tez mujh meñ hai
ye yādgār-e-yār-e-kam-āmez mujh meñ hai
sairāb kunj-e-zāt ko rakhtī hai mustaqil
bahtī huī jo rañj kī kārez mujh meñ hai
kaasa hai ek fikr se mujh meñ bharā huā
aur ik piyāla dard se lab-rez mujh meñ hai
ye karb-e-rā.egānī-e-imkāñ bhī hai magar
terā bhī ik ḳhayāl-e-dil-āvez mujh meñ hai
taaza khile hue haiñ ye gulhā-e-zaḳhm-e-rañg
har aan ek mausam-e-ḳhūñ-rez mujh meñ hai
rakhtī hai merī tab-e-ravāñ bāb-e-harf meñ
ye mustaqil jo dard kī mahmez mujh meñ hai
ab tak harā-bharā hai kisī yaad kā shajar
'irfān'! ek ḳhitta-e-zarḳhez mujh meñ hai