junūñ ke dam se āḳhir martaba kaisā milā mujh ko
abhī farhād-o-qais aa.e the kahne marhabā mujh ko
kisī sūrat bhī radd hotā nahīñ ye faisla dil kā
nazar aatā nahīñ koī bhī tujh sā dūsrā mujh ko
sar-e-kunj-e-tamannā phir ḳhushī se gungunā.uñgā
agar vo lauT kar aa.e to phir tum dekhnā mujh ko
na jān-e-rashk se ġhusse se ġham se yā raqābat se
ye kis andāz se taktā hai terā aa.ina mujh ko
khule to sab zamānoñ ke ḳhazāne haath aa jaa.eñ
dar-e-iqlīm-e-haft-ālam hai vo band-e-qabā mujh ko
gumāñ meñ bhī gumāñ lagtī hai ab to zindagī merī
nazar aatā hai ab vo ḳhvāb meñ bhī ḳhvāb sā mujh ko
kasāfat baar pā saktī nahīñ aisī latāfat meñ
karam us kā ki baḳhshā dil ke badle aabla mujh ko
sabā merī qadam-bosī se pahle gul na dekhegī
agar vahshat ne kuchh din baaġh meñ rahne diyā mujh ko
na niklī aaj gar koī yahāñ yakjā.ī kī sūrat
to kal se DhūñDte phirnā jahāñ meñ jā-ba-jā mujh ko
guzargāh-e-nafas meñ huuñ misāl-e-barg-e-āvāra
koī dam meñ uḌā le jā.egī bād-e-fanā mujh ko
vo dil-āvez āñkheñ vo lab-o-ruḳhsār vo zulfeñ
nahīñ ab dekhnā kuchh bhī nahīñ us ke sivā mujh ko
azal se tā-abad duniyā se le kar āsmānoñ tak
nazar aatā hai terī hī nazar kā silsila mujh ko
mire hone se hī kuchh e'tibār us kā bhī qaa.em hai
junūñ tum se nimaT legā jo dīvāna kahā mujh ko
koī 'irfān' mujh meñ se mujhe āvāz detā hai
are tū sochtā kyā hai kabhī kuchh to batā mujh ko