Irfan Sattar

kis ajab saat-e-nayab mein aaya hua hun

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
kis ajab sā.at-e-nāyāb meñ aayā huā huuñ
tujh se milne maiñ tire ḳhvāb meñ aayā huā huuñ
phir vahī maiñ huuñ, vahī hijr kā dariyā-e-amīq
koī dam aks-e-sar-e-āb meñ aayā huā huuñ
kaise ā.īne ke mānind chamaktā huā maiñ
ishq ke shahr-e-abad-tāb meñ aayā huā huuñ
merī har taan hai az-roz-e-azal tā-ba-abad
ek sur ke liye mizrāb meñ aayā huā huuñ
koī parchhā.īñ kabhī jism se kartī hai kalām?
be-sabab sāya-e-mahtāb meñ aayā huā huuñ
har guzarte hue lamhe meñ Tapaktā huā meñ
dard huuñ, vaqt ke a.asāb meñ aayā huā huuñ
kaisī gahrā.ī se niklā huuñ adam kī 'irfān'
kaise pāyāb se tālāb meñ aayā huā huuñ
Top Urdushayar.com