Irfan Sattar

rakh ke Dher pe kya shoala-bayani karte

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
raakh ke Dher pe kyā sho.ala-bayānī karte
ek qisse kī bhalā kitnī kahānī karte
husn itnā thā ki mumkin hī na thī ḳhud-nigarī
ek imkān kī kab tak nigarānī karte
shola-e-jāñ ko bujhāte yūñhī qatra qatra
ḳhud ko ham aag banāte tujhe paanī karte
phuul sā tujh ko mahaktā huā rakhte shab bhar
apne sāñsoñ se tujhe raat kī raanī karte
naddiyāñ dekheñ to bas sharm se paanī ho jaa.eñ
chashm-e-ḳhūñ-basta se paidā vo ravānī karte
sab se kahte ki ye qissa hai purānā sāhab
aah kī aañch se tasvīr purānī karte
dar-o-dīvār badalne meñ kahāñ kī mushkil
ghar jo hotā to bhalā naql-e-makānī karte
koī aa jaatā kabhī yūñhī agar dil ke qarīb
ham tirā zikr pa.e-yād-dahānī karte
sach to ye hai ki tire hijr kā ab rañj nahīñ
kyā dikhāve ke liye ashk-fishānī karte
dil ko har lahza hī dī aql pe ham ne tarjīh
yār-e-jānī ko kahāñ dushman-e-jānī karte
shab isī tarah basar hotī hai merī 'irfān'
harf-e-ḳhush-rañg ko andoh-e-ma.ānī karte
Top Urdushayar.com