Irfan Sattar

dam-ba-KHud meri ana teri ada bhi dam-ba-KHud

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
dam-ba-ḳhud merī anā terī adā bhī dam-ba-ḳhud
tere pahlū meñ rahā maiñ aur rahā bhī dam-ba-ḳhud
dekhiye pahle lahū Tapke ki phaileñ kirchiyāñ
dam-ba-ḳhud terī nazar bhī aa.ina bhī dam-ba-ḳhud
itnā sannāTā ki jaise avvalīñ shām-e-firāq
dam-ba-ḳhud hai āsmāñ bhī aur havā bhī dam-ba-ḳhud
yaad hai tujh ko vo pahle lams kī hiddat ki jab
rah ga.ī thī daf.atan terī hayā bhī dam-ba-ḳhud
ek se aalam meñ donoñ muḳhtalif asbāb se
dam-ba-ḳhud terā karam merī duā bhī dam-ba-ḳhud
aisā lagtā hai ki donoñ se nahīñ nisbat mujhe
dam-ba-ḳhud umr-e-ravāñ sail-e-fanā bhī dam-ba-ḳhud
ḳhauf-e-tajdīd-e-ta.aluq darmiyāñ haa.il rahā
dam-ba-ḳhud terā sitam merā galā bhī dam-ba-ḳhud
yuuñ gumāñ hotā hai donoñ kī tavaqqo.a ek thī
dam-ba-ḳhud terī vafā merī sazā bhī dam-ba-ḳhud
jab khule merī haqīqat tum vo manzar dekhnā
dam-ba-ḳhud nā-āshnā bhī āshnā bhī dam-ba-ḳhud
Top Urdushayar.com