yahāñ takrār-e-sā.at ke sivā kyā rah gayā hai
musalsal ek hālat ke sivā kyā rah gayā hai
tumheñ fursat ho duniyā se to ham se aa ke milnā
hamāre paas fursat ke sivā kyā rah gayā hai
bahut mumkin hai kuchh din meñ use ham tark kar deñ
tumhārā qurb aadat ke sivā kyā rah gayā hai
bahut nādim kiyā thā ham ne ik shīrīñ-suḳhan ko
so ab ḳhud par nadāmat ke sivā kyā rah gayā hai
hamārā ishq bhī ab maand hai jaise ki tum ho
to ye saudā ri.āyat ke sivā kyā rah gayā hai
kahāñ le jaa.eñ ai dil ham tirī vus.at-pasandī
ki ab duniyā meñ vus.at ke sivā kyā rah gayā hai
salāmat hai koī ḳhvāhish na koī yaad zinda
batā ai shaam vahshat ke sivā kyā rah gayā hai
kisī aahaT meñ aahaT ke sivā kuchh bhī nahīñ ab
kisī sūrat meñ sūrat ke sivā kyā rah gayā hai
bahut lambā safar tai ho chukā hai zehn o dil kā
tumhārā ġham alāmat ke sivā kyā rah gayā hai
aziyyat thī magar lazzat bhī kuchh is se sivā thī
aziyyat hai aziyyat ke sivā kyā rah gayā hai
hamāre darmiyāñ saarī hī bāteñ ho chukī haiñ
so ab in kī vazāhat ke sivā kyā rah gayā hai
bajā kahte ho tum honī to ho kar hī rahegī
to hone ko qayāmat ke sivā kyā rah gayā hai
shumār o be-shumārī ke taraddud se guzar kar
ma.āl-e-ishq-e-vahdat ke sivā kyā rah gayā hai