kahāñ na-jāne chalā gayā intizār kar ke
yahāñ bhī hotā thā ek mausam-e-bahār kar ke
jo ham pe aisā na kār-e-duniyā kā jabr hotā
to ham bhī rahte yahāñ junūñ iḳhtiyār kar ke
na-jāne kis samt jā basī bād-e-yād-parvar
hamāre atrāf ḳhushbuoñ kā hisār kar ke
kaTeñgī kis din madār-o-mehvar kī ye tanābeñ
ki thak ga.e ham hisāb-e-lail-o-nahār kar ke
tirī haqīqat-pasand duniyā meñ aa base haiñ
ham apne ḳhvāboñ kī saarī raunaq nisār kar ke
ye dil to siine meñ kis qarīne se gūñjtā thā
ajiib hañgāma kar diyā be-qarār kar ke
har ek manzar har ek ḳhalvat gañvā chuke haiñ
ham ek mahfil kī yaad par inhisār kar ke
tamām lamhe vazāhatoñ meñ guzar ga.e haiñ
hamārī āñkhoñ meñ ik suḳhan ko ġhubār kar ke
ye ab khulā hai ki us meñ motī bhī DhūñDte the
ki ham to bas aa ga.e haiñ dariyā ko paar kar ke
ba-qadr-e-ḳhvāb-e-talab lahū hai na zindagī hai
adā karoge kahāñ se itnā udhār kar ke