ek tārīk ḳhalā us meñ chamaktā havā maiñ
ye kahāñ aa gayā hastī se saraktā huā maiñ
shola-e-jāñ se fanā hotā huuñ qatra qatra
apnī āñkhoñ se lahū ban ke Tapaktā huā maiñ
āgahī ne mujhe baḳhshī hai ye nār-e-ḳhud-soz
ik jahannam kī tarah ḳhud meñ bhaḌaktā huā maiñ
muntazir huuñ ki koī aa ke mukammal kar de
chaak par ghūmtā bal khātā daraktā huā maiñ
majma.a ahl-e-haram naqsh-ba-dīvār udhar
aur idhar shor machātā huā baktā huā maiñ
mere hī dam se milī sā.at-e-imkān use
vaqt ke jism meñ dil ban ke dhaḌaktā huā maiñ
be-niyāzī se mirī aate hue tañg ye log
aur logoñ kī tavajjoh se bidaktā huā maiñ
raat kī raat nikal jaatā huuñ ḳhud se bāhar
apne ḳhvāboñ ke ta.āqub meñ humaktā huā maiñ
aisī yakjā.ī ki miT jaa.e tamīz-e-man-o-tū
mujh meñ khiltā huā tū tujh meñ mahaktā huā maiñ
ik to vo husn-e-junūñ-ḳhez hai aalam meñ shuhūd
aur ik husn-e-junūñ-ḳhez ko taktā huā maiñ
ek āvāz paḌī thī ki koī sā.il-e-hijr?
aan kī aan meñ pahuñchā thā lapaktā huā maiñ
hai kashīd-e-suḳhan-e-ḳhās vadī.at mujh ko
ghūmtā phirtā huuñ ye itr chhiḌaktā huā maiñ
rāz-e-haq faash huā mujh pe bhī hote hote
ḳhud tak aa hī gayā 'irfān' bhaTaktā huā maiñ