dil ke parde pe chehre ubharte rahe muskurāte rahe aur ham so ga.e
tirī yādoñ ke jhoñke guzarte rahe thapthapāte rahe aur ham so ga.e
yaad aatā rahā kūcha-e-raftagāñ sar pe sāya-fagan hijr kā āsmāñ
nā-rasā.ī ke sadme nikharte rahe dil jalāte rahe aur ham so ga.e
hijr ke ratjagoñ kā asar yuuñ huā vasl-e-jānāñ kā lamha basar yuuñ huā
dosh par us ke gesū bikharte rahe gudgudāte rahe aur ham so ga.e
kaise tajdīd-e-ahd-e-vafā kījiye ġham maza de rahe haiñ so kyā kījiye
dar pe aa kar vo aksar Thaharte rahe khaTkāte rahe aur ham so ga.e
avval avval to har shab qayāmat huī rafta rafta hameñ aisī aadat huī
ghar ke āñgan meñ ġham raqs karte rahe ġhul machāte rahe aur ham so ga.e