ḳhvāb meñ koī mujh ko aas dilāne baiThā thā
jaagā to maiñ ḳhud apne hī sirhāne baiThā thā
yūñhī rukā thā dam lene ko, tum ne kyā samjhā?
haar nahīñ maanī thī bas sustāne baiThā thā
ḳhud bhī lahūluhān huā dil, mujhe bhī zaḳhm diye
maiñ bhī kaise vahshī ko samjhāne baiThā thā
laakh jatan karne par bhī kam huā na dil kā bojh
kaisā bhārī patthar maiñ sarkāne baiThā thā
taare kirnoñ kī rath par laa.e the us kī yaad
chāñd bhī ḳhvāboñ kā chandan mahkāne baiThā thā
na.e baras kī ḳhushiyoñ meñ mashġhūl the sab, aur maiñ
ga.e baras kī choToñ ko sahlāne baiThā thā
vo to kal jhankār se parakh liyā us gyānī ne
maiñ to pītal ke sikke chamkāne baiThā thā
dushman jitne aa.e un ke ḳhatā hue sab tiir
lekin apnoñ kā har tiir nishāne baiThā thā
qissoñ ko sach mānñe vāle, dekh liyā anjām?
pāgal jhuuT kī tāqat se Takrāne baiThā thā
mat pūchho kitnī shiddat se yaad aa.ī thī maañ
aaj maiñ jab chaTnī se roTī khāne baiThā thā
apnā qusūr samajh nahīñ aayā jitnā ġhaur kiyā
maiñ to sachche dil se hī pachhtāne baiThā thā
ain usī dam ḳhatm huī thī mohlat jab 'irfān'
ḳhud ko toḌ chukā thā aur banāne baiThā thā