vafā ke baab meñ apnā misāliyā ho jā.ūñ
tire firāq se pahle hī maiñ judā ho jā.ūñ
maiñ apne-āp ko tere sabab se jāntā huuñ
tire yaqīn se haT kar to vāhima ho jā.ūñ
ta.alluqāt ke barzaḳh meñ ain-mumkin hai
zarā sā dukh vo mujhe de to maiñ tirā ho jā.ūñ
abhī maiñ ḳhush huuñ to ġhāfil na jaan ḳhud se mujhe
na jaane kaun sī laġhzish pe maiñ ḳhafā ho jā.ūñ
abhī to raah meñ haa.il hai aarzū kī fasīl
zarā ye ishq sivā ho to jā-ba-jā ho jā.ūñ
abhī to vaqt tanaffus ke saath chaltā hai
zarā Thahar ki maiñ is jism se rihā ho jā.ūñ
abhī to maiñ bhī tirī justujū meñ shāmil huuñ
qarīb hai ki tamannā se māvarā ho jā.ūñ
ḳhamoshiyāñ haiñ añdherā hai be-yaqīnī hai
na ho jo yaad bhī terī to maiñ ḳhalā ho jā.ūñ
kisī se mil ke bichhaḌnā baḌī aziyyat hai
to kyā maiñ ahd-e-tamanā kā fāsla ho jā.ūñ
tire ḳhayāl kī sūrat-garī kā shauq liye
maiñ ḳhvāb ho to gayā huuñ ab aur kyā ho jā.ūñ?
ye harf o saut kā rishta hai zindagī kī dalīl
ḳhudā vo din na dikhā.e ki be-sadā ho jā.ūñ
vo jis ne mujh ko tire hijr meñ bahāl rakhā
tū aa gayā hai to kyā us se bevafā ho jā.ūñ