chāñd bhī khoyā khoyā sā hai taare bhī ḳhvābīda haiñ
aaj fazā ke bojhal-pan se lahje bhī sanjīda haiñ
jaane kin kin logoñ se is dard ke kyā kyā rishte the
hijr kī is ābād sarā meñ sab chehre nādīda haiñ
itne barsoñ ba.ad bhī donoñ kaise TuuT ke milte haiñ
tū hai kitnā sāda-dil aur ham kitne pechīda haiñ
sun jānāñ ham tark-e-ta.alluq aur kisī din kar leñge
aaj tujhe bhī ujlat sī hai ham bhī kuchh ranjīda haiñ
kānoñ meñ ik sargoshī hai be-ma.anī sī sargoshī
āñkhoñ meñ kuchh ḳhvāb saje haiñ ḳhvāb bhī umr-rasīda haiñ
ghar kī vo maḳhdūsh imārat gir ke phir ta.amīr huī
ab āñgan meñ peḌ haiñ jitne saare shāḳh burīda haiñ
is bastī meñ ek saḌak hai jis se ham ko nafrat hai
us ke nīche pagDanDī hai jis ke ham girvīda haiñ