Irfan Sattar

aaj karna thi tawajjoh chaak-e-daman ki taraf

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
aaj karnā thī tavajjoh chāk-e-dāmāñ kī taraf
dhyān jā niklā magar ik rū-e-tābāñ kī taraf
jab havā ke naam pahuñchā āmad-e-shab kā payām
ek jhoñkā chal diyā sham-e-farozāñ kī taraf
ek chehra jagmagāyā hai sar-e-dasht-e-ḳhayāl
ek sho.ala uTh rahā hai dil se mizhgāñ kī taraf
ye bayābāñ aur us meñ chīḳhtī gaatī havā
un se dil bhar le to jā.ūñ rāh-e-āsāñ kī taraf
is tarah haa.il nahīñ hote kisī kī raah meñ
kyuuñ bhalā itnī tavajjoh ek mehmāñ kī taraf
ain mumkin hai ki tū sach bol kar zinda rahe
maiñ ishāra kar rahā huuñ ek imkāñ kī taraf
ik taqāzā bebasī kī raakh meñ dahkā huā
ik tazabzub kā safar inkār se haañ kī taraf
jis ke badle maut sadiyoñ kī basar karnā paḌe
zindagī kā qarz itnā to nahīñ jaañ kī taraf
Top Urdushayar.com