udaas bas ādatan huuñ kuchh bhī huā nahīñ hai
yaqīn maano kisī se koī gila nahīñ hai
adheḌ kar sī rahā huuñ barsoñ se apnī parteñ
natījatan DhūñDne ko ab kuchh bachā nahīñ hai
zarā ye dil kī umiid dekho yaqīn dekho
maiñ aise ma.asūm se ye kah duuñ ḳhudā nahīñ hai
maiñ apnī miTTī se apne logoñ se kaT gayā huuñ
yaqīnan is se baḌā koī sāneha nahīñ hai
to kyā kabhī mil sakeñge yā baat ho sakegī
nahīñ nahīñ jaao tum koī mas.ala nahīñ hai
vo raaz siine meñ rakh ke bhejā gayā thā mujh ko
vahī jo ik raaz mujh pe ab tak khulā nahīñ hai
maiñ buġhz nafrat hasad mohabbat ke saath rakhūñ
nahīñ miyāñ mere dil meñ itnī jagah nahīñ hai
chahār jānib ye be-yaqīnī kā ghup añdherā
ye merī vahshat kā inḳhilā hai ḳhalā nahīñ hai
usī kī ḳhushbū se aaj tak maiñ mahak rahā huuñ
vo mujh se bichhḌā huā hai lekin judā nahīñ hai
likhā huā hai tumhāre chehre pe ġham tumhārā
hamārī hālat bhī aisī be-mājrā nahīñ hai
ye tāza-kārī hai tarz-e-ehsās kā karishma
mire luġhat meñ to lafz koī nayā nahīñ hai
nayā hunar siikh fī-zamāna ho jis kī vaq.at
suḳhan kī nisbat se ab koī pūchhtā nahīñ hai
jise ho 'irfān'-e-zāt vo kyā tirī sunegā
o nāsehā chhoḌ de koī fā.eda nahīñ hai