ek duniyā kī kashish hai jo idhar khīñchtī hai
ik tabī.at hai ki āzār-e-hunar khīñchtī hai
ek jānib liye jaatī hai qanā.at mujh ko
ek jānib havas-e-luqma-e-tar khīñchtī hai
hijr kā aish kahāñ hai mirī qismat meñ ki ab
zindagī rañj ba-andāz-e-digar khīñchtī hai
ek manzil hai jo imkān se bāhar hai kahīñ
ik masāfat hai ki bas gard-e-safar khīñchtī hai
ik taraf dil kā ye isrār ki ḳhalvat ḳhalvat
ik taraf ḳhvāhish-e-taskīn-e-nazar khīñchtī hai