Irfan Sattar

ye kaise malbe ke niche daba diya gaya hun

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
ye kaise malbe ke nīche dabā diyā gayā huuñ
mujhe badan se nikālo maiñ tañg aa gayā huuñ
kise dimāġh hai be-faiz sohbatoñ kā miyāñ
ḳhabar uḌā do ki maiñ shahr se chalā gayā huuñ
ma.āl-e-ishq-e-anā-gīr hai ye muḳhtasaran
maiñ vo darinda huuñ jo ḳhud ko hī chabā gayā huuñ
koī ghaḌī hai ki hotā huuñ āstīn meñ dafn
maiñ dil se bahtā huā aañkh tak to aa gayā huuñ
mirā thā markazī kirdār is kahānī meñ
baḌe salīqe se be-mājrā kiyā gayā huuñ
vo mujh ko dekh rahā hai ajab tahayyur se
na-jāne jhoñk meñ kyā kuchh use batā gayā huuñ
mujhe bhulā na sakegī ye rahguzār-e-junūñ
qadam jamā na sakā rañg to jamā gayā huuñ
sab ehtimām se pahuñche haiñ us kī bazm meñ aaj
maiñ apne haal meñ sarmast o mubtalā gayā huuñ
mire kahe se mire gird-o-pesh kuchh bhī nahīñ
so jo dikhāyā gayā hai vo dekhtā gayā huuñ
use batāyā nahīñ hijr meñ jo haal huā
jo baat sab se zarūrī thī vo chhupā gayā huuñ
ġhazal meñ khīñch ke rakh dī hai apnī jaañ irfān
har ek sher meñ dil kā lahū bahā gayā huuñ
Top Urdushayar.com