Irfan Sattar

na fasle ko na raKHt-e-safar ko dekhte hain

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
na fāsle ko na raḳht-e-safar ko dekhte haiñ
ajiib rañj se dīvār-o-dar ko dekhte haiñ
na jaane kis ke bichhaḌne kā ḳhauf hai un ko
jo roz ghar se nikal kar shajar ko dekhte haiñ
ye roz-o-shab haiñ ibārat usī tavāzun se
kabhī hunar ko kabhī apne ghar ko dekhte haiñ
tū is qadar bhī tavajjoh pe ḳhush-gumān na ho
tujhe nahīñ tirī tāb-e-nazar ko dekhte haiñ
firāq ham ko mayassar bhī hai pasand bhī hai
pe kyā kareñ ki tirī chashm-e-tar ko dekhte haiñ
ham ahl-e-hirs-o-havas tujh se be-niyāz kahāñ
duā ke ba.ad duā ke asar ko dekhte haiñ
ye be-sabab nahīñ saudā ḳhalā-navardī kā
musāfirān-e-adam rahguzar ko dekhte haiñ
vo jis taraf ho nazar us taraf nahīñ uThtī
vo jā chuke to musalsal udhar ko dekhte haiñ
hameñ bhī apnā muqallid shumār kar 'ġhālib'
ki ham bhī rashk se tere hunar ko dekhte haiñ
Top Urdushayar.com