Irfan Sattar

ajab hai rang-e-chaman ja-ba-ja udasi hai

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
ajab hai rañg-e-chaman jā-ba-jā udāsī hai
mahak udāsī hai bād-e-sabā udāsī hai
nahīñ nahīñ ye bhalā kis ne kah diyā tum se
meñ Thīk-Thāk huuñ haañ bas zarā udāsī hai
maiñ mubtalā kabhī hotā nahīñ udāsī meñ
maiñ vo huuñ jis meñ ki ḳhud mubtalā udāsī hai
tabīb ne koī tafsīl to batā.ī nahīñ
bahut jo pūchhā to itnā kahā udāsī hai
gudāz qalb ḳhushī se bhalā kisī ko milā
aziim vasf hī insān kā udāsī hai
shadīd dard kī rū hai ravāñ rag-e-jāñ meñ
balā kā rañj hai be-intihā udāsī hai
firāq meñ bhī udāsī baḌe kamāl kī thī
pas-e-visāl to is se sivā udāsī hai
tumheñ mile jo ḳhazāne tumheñ mubārak hoñ
mirī kamā.ī to ye be-bahā udāsī hai
chhupā rahī ho magar chhup nahīñ rahī mirī jaañ
jhalak rahī hai jo zer-e-qabā udāsī hai
mujhe masā.il-e-kaun-o-makāñ se kyā matlab
mirā to sab se baḌā mas.ala udāsī hai
falak hai sar pe udāsī kī tarah phailā huā
zamīñ nahīñ hai mire zer-e-pā udāsī hai
ġhazal ke bhes meñ aa.ī hai aaj mahram-e-dard
suḳhan kī oḌhe hue hai ridā udāsī hai
ajiib tarah kī hālat hai merī be-ahvāl
ajiib tarah kī be mājrā udāsī hai
vo kaif-e-hijr meñ ab ġhāliban sharīk nahīñ
ka.ī dinoñ se bahut be-mazā udāsī hai
vo kah rahe the ki shā.ir ġhazab kā hai 'irfān'
har ek sher meñ kyā ġham hai kyā udāsī hai
Top Urdushayar.com