Irfan Sattar

idhar kuchh din se dil ki bekali kam ho gai hai

Irfan Sattar

Karachi, Sindh, Pakistan

1968
idhar kuchh din se dil kī bekalī kam ho ga.ī hai
tirī ḳhvāhish abhī hai to sahī kam ho ga.ī hai
nazar dhundlā rahī hai yā manāzir bujh rahe haiñ
añdherā baḌh gayā yā raushnī kam ho ga.ī hai
tirā honā to hai bas ek sūrat kā izāfa
tire hone se kyā terī kamī kam ho ga.ī hai
ḳhamoshī ko junūñ se dast-bardārī na samjho
tajassus baḌh gayā hai sar-kashī kam ho ga.ī hai
tirā rabt apne gird-o-pesh se itnā ziyāda
to kyā ḳhvāboñ se ab vābastagī kam ho ga.ī hai
sar-e-tāq-e-tamannā bujh ga.ī hai sham-e-umīd
udāsī baḌh ga.ī hai be-dilī kam ho ga.ī hai
sabhī zinda haiñ aur sab kī tarah maiñ bhī huuñ zinda
magar jaise kahīñ se zindagī kam ho ga.ī hai
Top Urdushayar.com