Mayal Khairabadi

duniya mein hum jo apni haqiqat ko pa gae

Mayal Khairabadi

duniyā meñ ham jo apnī haqīqat ko pā ga.e
to zindagī ke raaz samajh meñ sab aa ga.e
ye sochte haiñ sirf yahī sochte haiñ ab
ham tere dar pe laa.e ga.e haiñ ki aa ga.e
kaliyoñ ko khul ke hañsne kā andāz aa gayā
gulshan meñ aa ke tum jo zarā muskurā ga.e
apnā maqām bhī muta.ayyan na kar sake
vo kyā kaheñge dahr meñ kyā aa.e kyā ga.e
zebā thā un ko dāva-e-tāmīr-e-gulsitāñ
jo bijliyoñ meñ rah ke nasheman banā ga.e
ik ham haiñ raah DhūñD rahe haiñ idhar udhar
ik vo haiñ ḳhush-nasīb jo manzil ko pā ga.e
rāh-e-vafā meñ aa.e haiñ vo marhale jahāñ
'mā.il' baḌe-baḌoñ ke qadam Dagmagā ga.e
Top Urdushayar.com